Hasiyat-e-qatra daryha mein kea kuch nahe,
Dast-e-dua thy baland per lab py dua kuch nahe.

Lab-e-sahil shab-o-roaz raha peyasa koe,
Keun dhondon us darya ko jis ka kinara kuch nahe.

Bewafaon ke mahfil mein wafa dhondtay ho,
Assay mein thumare wafa, wo wafa kuch nahe.

Tum nay jo kaha ky hum say muhabbat hai jaisay,
Yun laga kuch keh ker bhe kaha kuch nahe.

Keun bahatay ho dil-e-baydard ky yeh ansoo,
Kea meray is dard ka tumhay sahara kuch nahe.